Ishan
Hamari Jarurto ko pura karna hamre parents ki majburi nahi Balki unka Farz hota hai. Agar Hamari Jarurt Jayaj ho, Kyunki Najayaj Jarurtae Parents ke liye Farz Nahi Balki unko pura karna unki majburi ban jati hai. Aaj kal Shayad hum ” Santmant “ Ka matlab bhi yahi smaj rahe hai. Ki Dunyavi jarurto ko pura karne ka mat hi “Santmant” hai.
Aaj kal Shayad hum ” Santmant “ Ka matlab bhi yahi smaj rahe hai. Ki Dunyavi jarurto ko pura karne ka mat hi “Santmant” hai.
hum wada ek se kar ke aaye the ki jaise marji halat me rakhna bas apne se dur mat karna. Lekin nahi hum to jarurte puri karne me lage hue hai. Wo bhi kisi ek se nahi kahi se bhi or kaise bhi.Hum baat manmukh jivo ki nahi Balki gurmukh jivo ki kar rahe hai. Manmukh jiv to man ke bandhan me bandha hua hota hai Man jaisa kehta he use waisa hi karna padta hai wo jiv to us jaal me fase janvar jaisa ho jata hai jise wo chah kar bhi nahi khol sakta na hi takat se or na hi Dimag se. Lekin Guru ke pyare jiv jinko “Naam” Ki itni kimti daulat mil jane ke baad bhi agar wo jiv duniya me thokre khate ho ………..?
Kyun karte hai wo aisa jutha wada Jab “Baba Ji” Naam ki Daulat baat rahe hote hai.Hum Naam ki daulat ko pa to lete hai par us daulat ka use kaise karna hota hai shayd ye nahi samaj paye hai.
Dekho ek agar koi 2 din se bhukha ho Or dusra kuch time ( ghante ) se.. In dona me se khana khane ki tadap use jyada hogi jo ki do din se bhuka he. koi taras kha kar usko khana khila deta hai , khana khane ke baad wo insaan uska dil se dhanyawad kare or uske baad phir kabhi milne ke baad bas upper se hi muh dikha kar chala jaye to kya sochega wo insaan uske bare me.
Issi tarah kuch Is tarah ki jarurt jo nahi honi chahiye phir bhi hum unko create Karte hai or apne parents ke samne rakhte hai.But Parents u jarurto ko pura karne ko manna kar dete kar dete hai. Humein Iska ye matlab nahi nikal lena chahiye ki wo ye sab jarurte puri nahi kar sakte hai ya phir janbuj kar manna kar rahe hai.
Lekin aisa nahi hai?
Kai bar parents un jarurto ko pura karne ke liye maan bhi jate hai lekin apne bacho se keh dete ye ki aap study me first aa jao to hum kuch kar sakte hai.
Lekin Kuch Bache Apne parents ki is Filling ko nahi samaj pate?
Bus phir kya bhul jate sab kuch or yaad rahe jati wo jarurt jo puri nahi ho saki. Unko pura karne ke liye wo apne Family relation se contact karte hai. Or jaise taise karke unko pura karva lete hai.
Is situation me kya sochte honge parents :- Karne ko to hum bhi unki jarurto ko pura kar sakte the balki 100 % pura kar dete. Lekin wo aisa na kar sake Kyun………….?
Kya aap bata sakte hai ki isme kiski galti hai parents ki ya phir bacho ki ?
Shayad aapka jawab hoga ki galti to bacho ki hai Kyun ki ek wishwas hi to hota hai jo ek riste ko bandhe rakhta hai lekin is situation me bacho ka parents par wishwas nahi tha. Jiska dukh parents shabdo me byan nahi kar sakte.
Plz apne vicharo ko mere sath share jarur kare.
Ishant :- 09729397769
eshant.gogia@gmail.com
Radha Soami Ji