rajatkwatra
Koi yadi is discussion forum ke questions pade, to vo ye hi soch kar mar jaye ki akhri ye guru baba hamari zindagi abad karne aaye ya BARBAAD karne aaye hai.
Husband wife lad rahe hai. Saas bahu lad rahe hai. Baap beta lad rahe hai.
Kyon?
Agar koi kisi ko bias jane se rok de, satsang jane se rok de, kisi or guru ka parsad de de.
Sab ke sab naam dan lena chahte hai, jaise ki us se milne ke bad sab dukh khaam ho jayenge.
Are kai baar sach lagta hai ki kya sab bina dimag ke his RSSB culture se jud gaye ho?
Ek bar socho to sahi ki, actual me insan ko kya karna chahiye?
Sirf maa baap ke sath bachpan se satsang me jate rahe, fir bade hokar khud bhi jud gaye.
Uske bad kisi aise se shadi ho jaye, jo nahi manta RSSB , to unko jabardasti saath khinchne me lag gaye.
Kabhi socha, ki karna kya hai zindagi me?
Sabko dhukho se dur bhagna hai, bhagwan ko pana hai, bas socha ye RSSB Guru kehte hai ki meditate karo, I will get you meet GOD.
Samajh kuch aaaya nahi, bus jab bhandara hua, sab kaam kaz chode or attend kar liya, jaate hue to unko yaad karte hue gaye, or vapsi me ek dusre ko koste hue, jaam se nikalne ke chakar me, wrong driving karte hue ghar aaye.
Ghar akar khana khaya or chadar tan kar so gaye. Or socha aaj ka pura din, guru ko de diya bas ab dukh khatam ho jayenge.
Kuch sal tak ye kiye, tension kam nahi huyi, to kisi ne naam dan le lo,pareshaniya khatam ho jayengi, chalo koshish kari naam dan bhi liya, par phir pareshaniya kam nahi huyi, tu khuch saal to gaye satsang par, phir kisi or se pucha koi naya guru hai to bata, bahut pareshaniya hai life me, logo ne kaha aaj kal sai baba famous hai, kuch sal jude, pareshaniya dur nahi huyi, to bas isi tatarh ek life me 4-5 guru change kiye, fir maut aagayi, apna upar chale gaye, ab koi janta hai ki kiske mata pita kahan gaye.
Sab chodo to kya koi bhi ye janta hai ki RSSB ke guru maut ke bad kahan gaye, kya unko bhagwan mile ya nahi mile, koi answer nahi hai.
Kya present guru khud parmatma se mile ya nahi mile koi janta hai nahi. Bas ye ki vo hume mila denge, vo humare kalyan ke liye aaye hai.
Sirf hum bhgyashali hai, baki sab ki kismat kharab hai, jinhe inka nahi pata hai.
Is guru ki sewa karo, bus inse naamdaan le lo, aise lagta hai ki jaise koi kisi VIP visit ka paas le raha hai, use mil gaya, mujhe bhi chahiye.
Jinko nahi mila, vo to baichare bhagwan se nahi mil payenge.
To kya RSSB shuru hone se pehle yani ki San 1800 tak koi bhgwan ke darshan nahi lar paya, bas uske baad hi ye facility mili hai.
Keh diya ki sab apne liye nam dan lo, kisi or ke liye nahi. Ye batao, ki agar mata pita na hote, to is duniya me aa pate, maa baap ki samajh hi bache me aati hai, agar maa baap me samajh na hoti to kya tum samajh pate ki guru kya hai. Isliye sabse bada adhikar to mata pita ka ata hai, par unko chod diya lachar or lage hai guru ki sewa me, ye kehkar ki vo unke karam hai, unhe bhugtne do, jinse khun ka rishta hai, vo to nibha nahi rahe, guru se rishta nibha rahe ho , ki vo tumhe GOD se milwa denge.
BAHUT HI SWARTHI HO SAB KE SAB SATSANGIYO.
socho ki fal ki icha ke bina kaam karna hai, jo bhi karna, icha se karte ho to sirf vohi fal milega, bakshish nahi.
meditation sirf ek bahana hai concentration karne ka. Vo chahe tum guru ke diye hue naam par karo ya kisi par karo, koi farak nahi padta.
Par ye zarur sochna ki jo kehte hai hum bhagwan se milate hai, vo kya kabhi khud mile hai, or khud jaano ki jo us se ek baar mil leta hai, vo dobara kuch bolne layak nahi rehta
Satsan kiya sewa kari iski ego tyago, ghamad chodo, baki logo ke guru, rituals ki bhi izzat karo.
Pehle Insaniyat lao or insan bano, phir sochna ki ab or kya bane.